Ajmer Sharif Urs Mubarak 2025 Date & Timetable
Ajmer Sharif Dargah ka 814th Urs Mubarak 2025 December me manaya jayega. Har saal yeh Urs Rajab ke mahine me hota hai aur lakhon zahreen (pilgrims) Ajmer Sharif Dargah par aate hain.
Urs 2025 ka Timetable:
-
Flag Ceremony (Jhanda): 17 December 2025
-
Urs Festival Begins: 22 December 2025
-
Jumma Namaz: 26 December 2025
-
Jannati Darwaza Opens: 27 December 2025
-
Chatti Sharif: 27 December 2025
-
Jannati Darwaza Closes: 27 December 2025
-
Bara Qul: 30 December 2025
Urs Mubarak Ajmer Sharif ki Ahmiyat
Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A.) ka Urs unke Wisaal (parda hone) ki yaad me manaya jata hai. Yeh sirf ek tyohaar nahi, balki ek Ruhani Ijtema (spiritual gathering) hai jahan insaaniyat, mohabbat aur aman ka paigham diya jata hai.
Rituals aur Rasmein Urs Festival 2025
Jannati Darwaza & Chatti Sharif
27 December 2025 ko Jannati Darwaza khulega, aur hazaron zahreen us darwaze se guzarte hain. Wahi din Chatti Sharif ki khaas rasmein hoti hain.
Bara Qul Day
30 December ko Qur’an Khwani aur Fateha hota hai.
Qawwalis & Mehfil-e-Sama
Dargah courtyard me mashhoor Qawwals zikr aur sama karte hain jo spiritual atmosphere ko aur roshan kar dete hain.
Ajmer Sharif Pilgrimage Experience
Ajmer Sharif Urs ke dauran:
-
Sheher roshniyon, phoolon aur jhandon se sajta hai 🌸
-
Hotels, lodges aur guest houses pilgrims ke liye ready rehte hain 🏨
-
Deg aur Langar me free khana sab ko diya jata hai 🍲
Online Chadar, Deg aur Donation
Aap ghar baithe bhi Ajmer Sharif Online Chadar, Deg aur Nazrana donate kar sakte ho.
👉 Visit: ajmersharif.org
📞 Contact / WhatsApp Numbers: +91 9587755853
Comments
Post a Comment