Skip to main content

Urs mubarak 2025 | Ajmer Khwaja Gharib Nawaz ka 813 Urs mubarak

813 Urs Festival Sultan-ul-Hind Khwaja Moinuddin Hasan Chishty (R.A.) – Ek Muqaddas Dawat

813th Urs Ajmer Sharif 2025, Ajmer Sharif Urs 2025 ke dates, Khwaja Moinuddin Chishty Urs 2025, Ajmer Sharif Dargah Urs ka celebration, Ajmer Sharif pilgrimage 2025, Urs festival Ajmer 2025, Ajmer Dargah Urs ka program schedule, Khwaja Gharib Nawaz, Ajmer Sharif live streaming Urs, Ajmer Sharif ke rituals aur ceremonies, Chishtiya Sufi Foundation, Ajmer Urs ka Sufi gathering, Ajmer Sharif events 2025, Ajmer Dargah ka history aur significance, Ajmer Urs festival traditions.


Assalamualaikum sab Ashiq-e-Gharib Nawaz ko,

Hazrat Khwaja Moinuddin Hasan Chishty (R.A.), jo ke Sultan-ul-Hind kehlate hain, ka 813 Urs Mubarak qareeb hai. Main aap sab ko Ajmer Sharif mein is roohani ijtima mein shamil hone ki dawat deta hoon. Ye yearly festival puri duniya ke hazaaron aashiqon ko ikhata karta hai jo Gharib Nawaz ke zindagi aur taleemat ko yaad karte hain aur unke mohabbat, aman aur rehmat ke paighaam se roshni hasil karte hain.

Urs ka ye festival roohani tazgi ka waqat hota hai, jo dil ko sukoon dene wali qawwaliyoon, tilaawatein aur khaas duaon se bhara hota hai, jo humare mohtaram buzurg ki yaad mein Dargah Sharif par pesh ki jati hain. Main tamaam aashiqon se darkhwast karta hoon ke is mubarak moqa mein shamil hon, jahan Khwaja Sahib ki rehmat aur barkat ke darwaaze khule hote hain.

Main, aapka Duago Bhai, Syed Ali Dujana Gurdezi, aapko is safar ko aasan aur ba barkat banane mein madad dene ke liye hazir hoon. Agar aap Urs ke doran Ajmer Sharif aane ka irada rakhte hain, to main in zaroori intezamaat mein aapki madad kar sakta hoon:

  • Safar ke Tickets aur Suhulatain: Safar ke tickets aur zaroori suhulatain hasil karne mein madad.
  • Hotel Accommodations: Dargah Sharif ke qareeb aaraam da hotel stay ke liye tajweez aur intezam.
  • Ziyarat aur Tabarrukat: Ziyarat ada karne aur mubarak Tabarrukat hasil karne ke liye rehnumayi.
  • Langar or Offering: Darbar Sharif par langar ka intezam karwa sakte hai meri madad se.

Aap kisi bhi madad ke liye mujh se rabta kar sakte hain. Mera Contact Information niche Diye gaye hai. Zaroor Rabta Kare.

Is barakat wale Urs mein hamein shamil ho kar Khwaja Gharib Nawaz ki rehmat aur unke pyar se mustafeed hon. Aaiye mil kar Sultan-ul-Hind Ata e rasool Hazrat Khwaja Syed Moinuddin Hasan Chishty r.a. ke Urs Mubarak ko manayein, jinki roshni aaj bhi hamare upar chamak rahi hai.

Ajmer Sharif mein aapka intezaar rahega.

Apka Khidmat guzari mein,
Syed Ali Dujana Gurdezi

Gaddi Nasheen, Ajmer Sharif Dargah

Director - Chishtiya Sufi Foundation

Contact number +91 9587755853 

Website Chishtiya Sufi Foundation



Comments

Popular Posts

12 Months Niyaz in Ajmer Sharif | Khwaja Garib Nawaz Dargah | Islamic Niyaz Guide

  🕌 12 Months Niyaz in Ajmer Sharif | Complete Islamic Niyaz Guide In Ajmer Sharif , the tradition of Niyaz is followed with deep love, faith, and spiritual devotion throughout the 12 Islamic months . Devotees offer food and prayers at homes, mosques, and especially at the Dargah of Khwaja Garib Nawaz , seeking blessings, peace, and barakah. Each month has its own significance in Islam, and Niyaz is offered accordingly with dua and devotion. 1. Niyaz of Moharam Sharif Month of mourning and remembrance of Imam Hussain (AS) and the Battle of Karbala . Niyaz like dal chawal, roti, tea, and sherbat is distributed at Dargah Sharif and in homes. 2. Niyaz of Safar A month of prayers for protection and health. Devotees offer niyaz with dua for peace and safety for their families. 3. Niyaz of Rabi’ al-Awwal The blessed birth month of Prophet Muhammad ï·º. Streets near the Dargah are decorated, naats are recited, and sweets are distributed with joy. 4. Niyaz of Rabi’ al-Thani (Gyar...

Why Delay In Problems - Ajmer Sharif Dargah Wazaif

Black Magic Cure - Ajmer Sharif Dargah - Contact Now - Cure Bandish Assalam-o-Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu, In today’s modern world, many people feel unhappy, anxious, and burdened with problems — not realizing that Almighty Allah Paak is always there to help and guide us. People face difficulties like: Anxiety & Depression Financial Problems & Lack of Income Evil Eye (Nazar) & Black Magic (Jadu) Family Disputes & Marital Issues Disobedient Children Lack of Unity & Love in Families But there is hope and healing at the sacred shrine of Ajmer Sharif Dargah — the resting place of Khwaja Garib Nawaz (R.A) . 🕌 The Power of Darbar-e-Garib Nawaz The Dargah Sharif in Ajmer is open to all faiths and backgrounds . For centuries, millions have experienced spiritual healing and blessings through prayers and wazaif performed at this holy shrine. Many people have found relief from problems such as: ✅ Black Magic (Jadu) ✅ Family Problem...

814th Urs Mubarak 2025 Ajmer Sharif Dargah – Puri Jaankari & Dates

Ajmer Sharif Urs Mubarak 2025 Date & Timetable Ajmer Sharif Dargah ka 814th Urs Mubarak 2025 December me manaya jayega. Har saal yeh Urs Rajab ke mahine me hota hai aur lakhon zahreen (pilgrims) Ajmer Sharif Dargah par aate hain. Urs 2025 ka Timetable: Flag Ceremony (Jhanda): 17 December 2025 Urs Festival Begins: 22 December 2025 Jumma Namaz: 26 December 2025 Jannati Darwaza Opens: 27 December 2025 Chatti Sharif: 27 December 2025 Jannati Darwaza Closes: 27 December 2025 Bara Qul: 30 December 2025 Urs Mubarak Ajmer Sharif ki Ahmiyat Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A.) ka Urs unke Wisaal (parda hone) ki yaad me manaya jata hai. Yeh sirf ek tyohaar nahi, balki ek Ruhani Ijtema (spiritual gathering) hai jahan insaaniyat, mohabbat aur aman ka paigham diya jata hai. Rituals aur Rasmein Urs Festival 2025 Jannati Darwaza & Chatti Sharif 27 December 2025 ko Jannati Darwaza khulega , aur hazaron zahreen us darwaze se guzarte hain. Wahi din Chatti Sharif ki khaas...