Ramzan Mubarak 2026 – Ajmer Sharif Dargah Se Roohani Paigham Ramzan Mubarak tamam ummat-e-Muslima ko! Ramzan rehmat, barkat aur maghfirat ka mahina hai. Is muqaddas mahine me duniya bhar ke zaireen Ajmer Sharif Dargah par hazri dete hain aur Khwaja Moinuddin Chishti (Gareeb Nawaz) ke darbar me roohani sukoon hasil karte hain. Ajmer Sharif me Ramzan ka mahaul bilkul alag hota hai – roshniyon se saja hua darbar, tilawat-e-Quran, zikr-o-azkar, aur sabse khaas rozana Iftari aur Sehri ka intezam. Ramzan Mein Ajmer Sharif Dargah Ka Mahaul Ramzan ke mubarak mahine me: • Har roz Iftar ka dastarkhwan lagaya jata hai • Sehri ka khaas intezam hota hai • Quran khwani aur dua ka silsila jari rehta hai Yahan ki iftari me khajoor, sharbat, phal aur mukhtalif khanay taqseem kiye jate hain. Bohot se log apni taraf se niyaz aur iftar ka intezam karte hain jiska sawab unke marhoomeen ko bakhsha jata hai. Iftari & Sehri Mein Shirkat Kaise Karein ? Agar aap bhi Ramzan me Ajmer Sharif Dargah ki iftari y...
SYED ALI DUJANA GURDEZI KHUDDAM-E-KHAWAJA GARIB NAWAZ