Ajmer Sharif Dargah, jo Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A.) ka aashiyana hai, duniya bhar me apni Barkati Deg aur Langar ke liye mashhoor hai. Har saal lakhon zahreen yahan aakar Khwaja Sahab ke Darbar me Deg aur Chadar pesh karte hain. Deg Ajmer Sharif ki ek aisi roohani nishani hai jiska zikr aaj bhi har zahreen ki zabaan par hai. Ajmer Sharif Ki Deg Ka Itihas Ajmer Sharif me jo do badi Barkati Deg hain, unhe Hazrat Akbar Badshah ne apne aqeeda ke taur par pesh kiya tha. Unke baad Hazrat Jahangir Badshah ne bhi chhoti deg pesh ki. Tab se le kar aaj tak, Ajmer Sharif ki deg me khana pakta hai aur hazaron gareebon, yateemon aur zahreen ko taqseem hota hai. Deg Ki Khaasiyat Sabse Badi Deg: Isme lagbhag 4800 kilo chawal ya gosht ban sakta hai. Chhoti Deg: Isme 2400 kilo khana banaya ja sakta hai. Langar ka Barkat: Jo bhi zahreen deg ya langar me hissa leta hai, uski mannat qubool hoti hai aur roohani barkatein milti hain. Deg Ka Amal (Cooking Rituals) ...
SYED ALI DUJANA GURDEZI KHUDDAM-E-KHAWAJA GARIB NAWAZ